naumid kare dil ko na manzil ka pata de ai rah-guzar-e-ishq tere kya hain irade har raat guzarta hai koi dil ki gali se odhe hue yaadon ke pur-asrar libaade ban jata hun sar-ta-ba-qadam dast-e-tamanna dhal jate hain ashkon mein magar shauq irade us chashm-e-fusun-gar mein nazar aati hai aksar ek aatish-e-khamosh ki jo dil ko jala de aazurda-e-ulfat ko gham-e-zindagi jaise tapte hue jangal mein koi aag laga de yaadon ke mah-o-mehr tamannaon ke baadal kya kuchh na wo saughat sar-e-dasht-e-wafa de yaad aati hai us husn ki yun 'jafari' jaise tanhai ke ghaaron se koi khud ko sada de