main likh kar ho sakunga surkh-ru kya qalam kya aur qalam ki aabru kya na socha katne wale ne itna hari dali ki thi kuchh aarzu kya zara jage to hum sina-sipar hon ana ko jo sula de wo lahu kya zamin ko aab-o-dana de ke dekho khila deti hai gulzar-e-numu kya adu ko zer kar lo faslon se ladai ab hai lazim du-ba-du kya