main moatabar hun ishq mera moatabar nahin

main mo'atabar hun ishq mera mo'atabar nahin
aankhon mein ashk-e-gham nahin neze pe sar nahin

kuchh naqsh rah gae hain buzurgon ki shan ke
ab shahr-e-arzu mein kisi ka bhi ghar nahin

hamrah chand ke to sitaron ka hai hujum
suraj ke sath koi sharik-e-safar nahin

badli hui faza hai ghazal ke makan ki
changez-khan ke shahr mein 'ghaalib' ka ghar nahin

chhat aasman hai to bichhauna zamin hai
apne makan mein kahin diwar-o-dar nahin

nakaamiyon pe nim chabane lage hain log
'anjum' ye zindagani hai khwabon ka ghar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close