main musafir-e-rah-e-ishq hun na sahar hai koi na sham hai ye safar azal se abad talak na qiyam hai na maqam hai main tamam ishq-o-niyaz hun wo taghaful-o-hama-be-rukhi use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai teri rahguzar pe meri nazar mujhe subh-o-sham ki kya khabar na tere khayal mein subh hai na tere khayal mein sham hai wo chaman jahan pe hon zulf-o-rukh wo watan jahan ho koi sanam yahin ahl-e-dil ka maqam hai yahin ahl-e-dil ka qiyam hai tujhe gardishon hi se kaam hai kabhi ai falak ye bata mujhe koi us ke wasl ki subh hai koi us ke wasl ki sham hai hai ajab faza mere des ki koi shaikh hai koi barahman mujhe aadmi ki talash hai magar aadmi abhi kham hai wo jo chup hai shahr hai dasht sa main 'payam' kaise jiyun yahan na ab us ka koi payam hai na dua hai aur na salam hai