mere lahu se hai ek rang-e-nau bahaar-e-ghazal gharib-e-shahr hun lekin hun shahr-yar-e-ghazal jo chhu ke nikli hai mauj-e-nasim-e-ishq kabhi mahak mahak uthe gesu-e-tabdar-e-ghazal khulus-e-ishq-o-khulus-e-hayat ki taswir har ek sher ghazal hai ki shahkar-e-ghazal hamare gham mein gham-e-ishq-e-kaenat bhi hai hamare ashkon se shadab hai bahaar-e-ghazal hamare zauq-e-junun se hai kaenat hasin hum ahl-e-ishq se hai raunaq-e-dayar-e-ghazal wo kaenat ka dukh-sukh ghazal ke parde mein hua na 'mir' sa phir koi shahr-yar-e-ghazal