main na samjha bulbul be-baal-o-par ne kya kaha gosh-e-gul mein qasid-e-baad-e-sahar ne kya kaha naza ke dam bhi zi-bas laila ko mane tha hijab chupke chupke roi aur us nauhagar ne kya kaha tere wahshi se abas tujh ko khafa karte hain log sab ye baaten jhuth thin us be-khabar ne kya kaha sainkadon ranginiyan paida kin us ne waqt-e-qasd khun-e-majnun se zaban-e-neshtar ne kya kaha nama-bar ko galiyan din us ne sun kar mera nam munh ko takta rah gaya aur nama-bar ne kya kaha ho gaya us ko pahan kar aur bhi maghrur wo kan mein us shokh ke silk-e-guhar ne kya kaha jodna un ka nihayat ai 'hawas' dushwar tha dil ke tukde dekh mere shishagar ne kya kaha