main nafraton ki wo had karungi kuchh aise tum ko main radd karungi bhula ke rakh dungi tujh ko dil se diwangi ki wo had karungi tere sitam se ye tai kiya hai judai teri sanad karungi main dafn kar dungi teri yaaden tujhe main yun mustarad karungi duaen mangi thin jo 'dua' mein duaen sari wo radd karungi