main ne mehndi se likha hai nam tera hath par chand ko sharma gaya hai nam tera hath par chand sa tu bhi chamakta chand ki is raat mein ye muqaddar ki ata hai nam tera hath par ab mita sakta hai koi to mita kar dekh le hum ne aisa likh diya hai nam tera hath par aur koi chhab koi manzar bhala lagta nahin dekhna sab se bhala hai nam tera hath par is ko dhundlane nahin dena 'dua' taza sada rakhna dil ka mashghala hai nam tera hath par