main nahin hun nahin kahin bhi nahin ab koi aasman hai na zamin ek duniya hui hai zer-e-nagin shah-nashin ho gaya hai khak-nashin ye sukun bhi hua malal ke sath wo bahar-taur ji raha hai yahin bar-ha tu ne khwab dikhlae bar-ha hum ne kar liya hai yaqin ek virana tha basa na kabhi bastiyan hum se go hazar basin jaise pani pe naqsh ho koi raunaqen sab adam-sabaat rahin ghurfa-e-dard kis ne khol diya tu to ab mere aas-pas nahin