main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal khar hain pairahan-e-gul mein sambhal kar rah chal dur hai mulk-e-adam aur tujh mein dam baqi nahin ho sake to bas yunhi karwat badal kar rah chal talib-e-manzil hai phir uzlat-nashini kis liye rah-rawon ko dekh le ghar se nikal kar rah chal ku-e-jaanan mein zamana ho gaya rote hue ta-kuja dil ka tassuf hath mal kar rah chal yun rasai ta-sahar mumkin nahin ai dil magar shama ki surat shab-e-gham mein pighal kar rah chal