sahil ki ret chand ke munh par na Daliye

sahil ki ret chand ke munh par na daliye
himmat jo ho to bahr se moti nikaliye

khushbu ki tarah tham ke chaliye hawa ka hath
misl-e-ghubar bojh faza par na daliye

aawara mausamon ke bagulon ke sath sath
phirta hai koi mujh ko hawa-dar-hawa liye

khulta nahin ki kis ke liye sargiran hun main
qadmon mein khak sar pe falak ki rida liye

sae ki tarah reng raha hun zamin par
guzre hue zamanon ki aawaz-e-pa liye

ek harf mere kan mein kahta hai raat-din
mujh ko kitab-e-khak se bahar nikaliye

mumkin hai koi shakl ubhar aae samne
aaina-e-khala mein koi aks daliye

aazad ho saka na badan qaid-e-khak se
har-chand hum ne panw hawa mein jama liye

ek sham-e-be-nishan ka pata dhundte hue
hum ne dil-o-nigah ke suraj bujha liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close