main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye

main nahin kahti mujhe koi khazana chahiye
iltija itni hai ulfat jawedana chahiye

aish-o-ishrat ke bina bhi kaam chal sakta hai ji
chhat to sab ko chahiye aur aab-o-dana chahiye

ishq mera jis mein mahke ai mere rabb-e-karim
mujh ko jannat se alag wo aashiyana chahiye

is shikayat ko meri tu dur kar sakta hai kya
waqt tera chahiye aur walihana chahiye

rab ko pane ki jo hasrat hai to is ke waste
dil nazar aur be-niyazi aarifana chahiye

ham-safar manga tha main ne gham diye tu ne mujhe
ab talab ye hai ke gham ka ek zamana chahiye

dil nazar kya ruh tak rang-e-tasawwuf chha gaya
ab ghazal bhi mujh ko maula sufiyana chahiye

hijr tera de hi dega maut ek din 'sapna' ko
zindagi jine ka lekin ek bahana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close