udas udas faza kaenat thahri hai labon pe sab ke koi sachchi baat thahri hai ajab sukut ka manzar hai sare aalam mein hai waqt thahra hua aur hayat thahri hai ufuq pe shams ki aamad ka shor hai kab se is intizar mein ab tak ye raat thahri hai kisi ki zist ka rukna muhaal hai lekin kisi ke waste aksar wafat thahri hai darinde dasht farishte falak pe thahr gae zamin pe sirf hamari hi zat thahri hai ye chand sikke kama kar khushi se phulo mat tumhaari fath ke andar hi mat thahri hai tamam log chale jaen kya bayaban mein ki bastiyon mein qaza ki baraat thahri hai sharif-zadon ne 'ehsas' tauba kar li kya hamare shahr mein kyon wardat thahri hai