main nindon ka bahana chahti hun tere khwabon mein aana chahti hun jise sun kar tu sab kuchh bhul jae ghazal wo gungunana chahti hun nae lahje mein tere hai banawat tera lahja purana chahti hun tera milna bahut mushkil hai lekin main qismat aazmana chahti hun tu hi jaane irada tera 'zaryab' magar main tujh ko pana chahti hun