kuchh bhi nahin hai kya pas-e-diwar dekhna sae ko dubte hue har bar dekhna aurat hun meri man ne sikhaya ki umr bhar aaina ban ke aaina-bardar dekhna ye soch kar hi main ne jalaya nahin charagh kya raushni ko barsar-e-paikar dekhna main to charagh-e-shab thi chalo bujh gai magar tum to sahar ke khair se aasar dekhna jab e'tibar-e-dida-e-dil uth gaya to phir kya rah gaya hai yar-e-tarah-dar dekhna 'zaryab' kya kharidne nikli ho dhup mein kya garmiyon mein garmi-e-bazar dekhna