main pahle barf sa thoda pighal ke dekhunga agar wo aag hai to us mein jal ke dekhunga pata mujhe bhi hai manzil nahin milegi ab par ek bar to rasta badal ke dekhunga abhi to hosh hai girna hai kya sambhalna kya qadam bahakne lagen phir sambhal ke dekhunga kahe hain log use intizar hai mera gali se us ki kisi din nikal ke dekhunga suna hai mere na rahne ka gham use bhi hai kisi bahane se us se main mil ke dekhunga