main phul phul safar kar rahi thi KHwabon ka

main phul phul safar kar rahi thi khwabon ka
phuwar lai thi tohfa nae gulabon ka

mile to qurb ka wo e'timad hi na raha
bhala tha us se to mausam wahi hijabon ka

wo zakhm chun ke mere khar mujh mein chhod gaya
ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka

wo jangalon se nikale hue gharib parind
jahan gae unhen maskan mila uqabon ka

har ek puchhta phirta hai phir na kuchh tabir
ki jaise shahr mein mela tha raat khwabon ka

main jo bhi kuchh hun ye sachchai meri apni hai
tamam jhut tha likkha hua kitabon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close