purane mohalle ka sunsan aangan mujhe pa ke tha kitna hairan aangan ye tahzib ko panw chalna sikhaen samete hain sadiyon ke imkan aangan wo diwar se jhankti shokh aankhen wo pahre pe budha nigahban aangan koi jast mein par karta hai chaukhat kisi ke liye ek bayaban aangan kisi ke liye paya-e-takht hai ye kisi ke liye ek zindan aangan suna rafta rafta khandar ho rahe hain wo aabaad galiyan wo gunjaan aangan kidhar jaen tahzib ki hijraton mein ye budhe darakht aur ye viran aangan