main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu teri nazar mein faqat aab hain mere aansu tu aaftab hai mera main tujh se hun raushan tere huzur to mahtab hain mere aansu wo ghaaliban unhen hathon mein tham bhi leta use khabar na thi sailab hain mere aansu khayal rakhte hain tanhaiyon ka mahfil ka ye kitne waqif-e-adab hain mere aansu chhupa ke rakhti hun har gham ko lakh pardon mein fasil-e-zabt se nayab hain mere aansu sahifa jaan ke aankhon ko padh raha hai koi ye rasm-e-ijra ko betab hain mere aansu main shaeri ke hun fann-e-aruz se waqif zabar hain zer hain erab hain mere aansu jise padha nahin tum ne kabhi mohabbat se kitab-e-zist ka wo bab hain mere aansu 'haya' ke raaz ko aankhon mein dhundne walo shanawaro suno girdab hain mere aansu