main raha shir-o-shakar talKHi-e-ayyam ke sath

main raha shir-o-shakar talkhi-e-ayyam ke sath
zindagi main ne guzari bade aaram ke sath

tamkanat bhi hai kuchh is mein to ye khuddar bhi hai
chal sakega na mera dil rawish-e-am ke sath

ab na shikwe ki jagah hai na shikayat ka maqam
ban gae khud wo tamasha mere anjam ke sath

aaj ki sham suna hai wo idhar aaenge
ab qayamat na chali aae kahin sham ke sath

ghair pite hain shab-o-roz tere hathon se
ye khalish aur bhi hai tishnagi-e-jam ke sath

jag uthti hai kabhi aur kabhi so jati hai
zindagi khel rahi hai sahar-o-sham ke sath

ye bhi shayad tera 'ejaz'-e-sitam-rani hai
dil ko wapas bhi kiya tu ne to inam ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close