kisi se kar ke shayad aaj wo takrar baithe hain jo munh phere hue wo jaanib-e-diwar baithe hain udhar wo hain ki jo tole hue talwar baithe hain idhar hum hain ki apni zist se bezar baithe hain are wae zamana tafraqa-andaz hai kya kya idhar do-chaar baithe hain udhar do-chaar baithe hain bigadta hai bigad jae sudharta hai sudhar jae teri chaukhat pe diwane muqaddar haar baithe hain zaban se kuchh nahin kahte magar sab kuchh samajhte hain inhen diwana mat samjho ye sab hushiyar baithe hain khuda ka shukr hai 'ejaz' puri ho gai manzil hazaron bar utthe hain hazaron bar baithe hain