main rahzanon se nahin rahbaron se Darta hun

main rahzanon se nahin rahbaron se darta hun
yahi sabab hai ki tanha safar pe nikla hun

hamare bich hai aakhir ye tafarqe kaisa
meri tarah ho tum aur main tumhaare jaisa hun

mere khilaf mere doston ki sazish hai
main jaanta hun magar dekh kar bhi andha hun

meri rawani hai zamin meri tahaarat ki
ruka to kai jamegi chala to dariya hun

main apni ruh bhala kaise bech dun aakhir
mera zamir hai zinda to main bhi zinda hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close