main ratjagon ka safir thahra tha kitni raaten guzar aaya riyaz tha ba-rusukh mera mere sukhan mein nikhaar laya koi bhi haalat nahin dawami koi bhi surat nahin mudami hayat apni hai wo khazana nahin hai jis mein qarar maya na mujh pe lutf-e-sahar hua hai na mujh pe wa koi dar hua hai na main ne dekhi hai rut suhani na mujh pe abr-e-bahaar chhaya jise main samjha tha yar apna jise kaha gham-gusar apna banaya tha ham-jalis jis ko sitam usi ne hazar dhaya jo main ne chheda hai rag 'naqid' wo rag be-waqt ka nahin hai sahar ko chhedi hai bhairawi to basant rut mein malar gaya