suna ke ranj-o-alam mujh ko uljhanon mein na dal thakan ka khauf mere azm ki ragon mein na dal main is jahan ko kuchh aur dena chahta hun tu kar-e-waqt ke pur-haul chakkaron mein na dal malul dekh ke tujh ko main ruk na jaun kahin khudara! hijr ki shiddat ko aansuon mein na dal teri bhalai ki khatir mujhe utara gaya mujhe lapet ke kapdon mein taqchon mein na dal ye hijraten to muqaddar hain aur mashghala bhi tu be-ghari ke hawale se waswason mein na dal