main ro raha hun jo dil ko to bekasi ke liye wagar na maut to duniya mein hai sabhi ke liye shab-e-firaq ki rozana aafaten tauba ye imtihan to hota kabhi kabhi ke liye bahut si umr mita kar jise banaya tha makan wo jal gaya thodi si raushni ke liye wasia bazm-e-jahan hai to ho mujhe kya kaam jagah mili na meri hasrat-dili ke liye ye aur daman-e-qatil hai chhut jaega lahu mein josh to barson se tha isi ke liye na aankh band karun main to kya karun yarab wo aa rahe hain tamasha-e-jaan-kani ke liye bula ke mujh ko nikala hai apni mahfil se wo nekiyan nahin achchhi hain jo ho badi ke liye qafas mein aaj tamasha-e-gham hai qabil-e-did tadap raha hun main sayyaad ki khushi ke liye tamam ho gae hum ek nigah-e-qatil se ragen gale ki tadapti rahin chhuri ke liye farogh-e-husn badha dil ki be-nawai se faqir ho gaya shan-e-tawangari ke liye qafas mein chup na hon to kya karun ki ye qaidi na dosti ke liye hai na dushmani ke liye tamam bazm mein chhaya hua hai sannata chhuda tha qissa-e-dil un ki dil-lagi ke liye shikayat-e-chaman-e-dahr kya karun 'saqib' hawa khilaf hai lekin kisi kisi ke liye