samad ko sarapa sanam dekhte hain musamma ko asma mein hum dekhte hain tujhe kaif-e-masti mein hum dekhte hain salasa nazar ka adam dekhte hain tera husn-e-ausaf hum dekhte hain fana mein baqa dam-ba-dam dekhte hain jo hain khali-o-pur se sar-mast-e-naghma ham-ahangi-e-kaif-o-kam dekhte hain nazar-gah teri hai aaina-dil tujhe hairati ho ke hum dekhte hain fana hai fana muqtaza-e-mohabbat taqaza-e-ulfat ko hum dekhte hain ghubar-e-dil-o-dida jo pak kar de hum us ashk-e-shabnam ko yam dekhte hain utha jab se pindar-e-hasti ka parda tujhe nur-e-wahdat mein hum dekhte hain makin-e-makan la-makani hai 'sahir' hum andaz-e-dair-o-haram dekhte hain