main roz-e-hijr ko barbaad karta rahta hun shab-e-visal hi ko yaad karta rahta hun meri ye ungliyan key-pad par thirakti hain khayal ke parind aazad karta rahta hun main apne chahne walon se kya kahun ki unhen na chahte hue nashad karta rahta hun faqat duaen meri dastaras mein hain so main faqat duaon ki imdad karta rahta hun aur is tarah se meri shab guzar bhi jati hai sahar ko sham se irshad karta rahta hun