pahle jin sanchon se hum katraate hain waqt ke sath inhi mein dhalte jate hain ek hi zardi kyun mausam par chhai hai saton rang palat kar kyun nahin aate hain hum se to bas ek masafat sath nibha kaun hain jo umron ki qasmen khate hain din bhar us diwar se lag ke roenge shab bhar jis ko dil ka haal sunate hain mustaqbil talab ki jis ke pani mein andeshon ke kale hans nahate hain subh sawere aankhon se rukhsat ho kar kaun nagar ko khwab bhatakne jate hain