main sab kuchh an-dekha karne lagta hun

main sab kuchh an-dekha karne lagta hun
jab bhi us ka pichha karne lagta hun

khud ke shane pe hi rakh deta hun sar
aise dil ko halka karne lagta hun

khamoshi jab zahir hone lagti hai
tab main shor-sharaba karne lagta hun

naqsh-e-dast mila hai aur na naqsh-e-pa
kin rahon ka pichha karne lagta hun

wajh-e-hijr-e-yar ye duniya ho jaise
jis se dekho jhagda karne lagta hun

socha tha ki ishq nahin karna hai ab
aur pahle se ziyaada karne lagta hun

ammi sukhi roti yaad dilati hai
jab main paisa paisa karne lagta hun

jhagda to shiddat se kar leta hun phir
pachhtawe mein girya karne lagta hun

khol hi leta hun yaadon ka album main
aur phir rona-dhona karne lagta hun

sar se dast-o-pa ka kaam liya main ne
main diwana kya kya karne lagta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close