zamane ke taghaful se jo har lamha bikharti hai suna hai aap ke dar par wahi qismat sanwarti hai tasawwur se hi jis ke aaj-kal ye ruh darti hai nazar ke samne ya-rab wahi surat ubharti hai kami hogi na hargiz aasman tere khazane mein zara si chandni gar mere aangan mein utarti hai kai dariyaon ka pani yaqinan us se kam hoga musibat jis qadar aansu meri aankhon mein bharti hai wahin apni bhi kashti aa gai tufan ki shiddat se jahan par zindagi barbaad ho kar aah bharti hai mahakte the mere din raat jis ki mezbani se wo khushbu aaj-kal jaane kahan parwaz karti hai sunaen kya hum apne haal ko bas mukhtasar 'tashna' hamari zindagi bhi aaj-kal yunhi guzarti hai