main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya mera munh chumne shayad mera mast-e-shabab aaya tere nazuk se chehre par jahan rang-e-itab aaya sabahat rukh ki bol utthi ki rukh zer-e-naqab aaya qayamat uthti rahti hai yahan ye hai gali us ki kahan pamal hone tu dil-e-khana-kharab aaya sar-e-turbat bhi ghode par hawa ke wo sawar aae qayamat ham-inan aai na dushman ham-rikab aaya hue hangama-ha-e-hashr kitne gosha-e-dil mein wo mere samne kuchh is ada se be-naqab aaya wo aae sair-e-dariya ke liye to bujh gain maujen qadam se un ke apni aankh malne har habab aaya bahut bose liye hain main ne un kafir hasinon ke maza aaega mujh ko bhi agar roz-e-hisab aaya takalluf bartaraf ai shaikh sohbat se ye aapas ki mere aage sharab aai tere aage kabab aaya isi koshish mein katti hijr ki raaten huin aakhir na un ke gesuon ka mere dil mein pech-o-tab aaya khayal-e-yar ke sadqe khayal-e-yar hi hoga tasalli mujh ko dene koi waqt-e-iztirab aaya teri nok qalam ne dil mein gahre zakhm dale hain hazaron dashna-o-nashtar liye khat ka jawab aaya wo taswir aaj tak mahfuz hai chashm-e-tasawwur mein tere bachpan se jab atkheliyan karta shabab aaya nahin maujen hain ye sail-e-hawadis ke tamanche hain use khana padi munh ki ubhar kar jab habab aaya barabar meri turbat ke kiya hai dafn dushman ko ye achchha mere hisse mein jahannum ka azab aaya kahin dawat mein kal hum aur waiz pas baithe the koi le kar sharab aaya koi le kar kabab aaya lahad par meri bheja hai adu ko fatiha padhne jo pahunchane sawab aaya wahi ban kar azab aaya jo aae bhi to ghode par hawa ke wo sawar aae adu bhi sath sae ki tarah thame rikab aaya hua bint-e-inab se aqd is pirana-sali mein mubarak ho mujhe saqi budhape mein shabab aaya nirale hain yahi duniya mein tauba todne wale udhar saqi 'riyaz' aae idhar jam-e-sharab aaya