zamin se ugti hai ya aasman se aati hai ye be-irada udasi kahan se aati hai ise nae dar-o-diwar bhi na rok sake wo ek sada jo purane makan se aati hai badan ki boss nasim-e-libas bu-e-nafas koi mahak ho usi khak-dan se aati hai dilon ki barf pighalti nahin hai jis ke baghair wo aanch ek gham-e-be-nishan se aati hai sukhan-wari hai nazar se nazar ka naz-o-niyaz aruz se na zaban-o-bayan se aati hai