main samjha tha mohabbat phir mohabbat hai maza degi ye kya ma'lum tha zalim shab-e-furqat rula degi mujhe bas dekh lo tum main zaban se kuchh nahin kahta mere dil ki jo haalat hai meri surat bata degi sun ai ghafil ye sair-e-bagh-e-hasti ta-ba-kai aakhir qaza ek din tujhe aaghosh-e-turbat mein sula degi ghalat hai ye wo aaenge na aae hain na aaenge bata ai sham-e-gham kab mujh ko paigham-e-qaza degi wo ghadiyan gin raha hai maut ki ai wae nakaami jo kahta tha mohabbat zindagi meri bana degi bura ho ya khuda kam-bakht is barbaad qismat ka jahan par aashiyan hoga wahin bijli gira degi siwae tere ab koi nahin hai tere 'fazil' ka ilahi teri rahmat hi use kuchh aasra degi