nama-bar khat de mujhe is se tujhe kya kaam hai hai nawed-e-zindagi ya maut ka paigham hai dil mein hai yaad-e-butan lab par khuda ka nam hai kahne sunne ko faqat mazhab mera islam hai jite ji mujh ko mila kuchh bhi na lutf-e-zindagi kushta-e-sad-arzu mera dil-e-nakaam hai aankh bhi wo tu ne di jo umr bhar roti rahi dil bhi tu ne wo diya jo kushta-e-alam hai kyon mere baalin pe baithe ro rahe hain wo sada kis tarah main un se kah dun ab mujhe aaram hai hijr mein 'fazil' kahan tak roz mar mar ke jiyun zindagi to zindagi ab maut bhi badnam hai