main samundar tha mujhe chain se rahne na diya khamushi se kabhi dariyaon ne bahne na diya apne bachpan mein jise sun ke main so jata tha mere bachchon ne wo qissa mujhe kahne na diya kuchh tabiat mein thi aawara mizaji shamil kuchh buzurgon ne bhi ghar mein mujhe rahne na diya sar-bulandi ne meri shahr-e-shikasta mein kabhi kisi diwar ko sar par mere dahne na diya ye alag baat ki main nuh nahin tha lekin main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diya baad mere wahi sardar-e-qabila tha magar buz-dili ne use ek war bhi sahne na diya