mayassar ho jo lamha dekhne ko kitabon mein hai kya kya dekhne ko hazaron qadd-e-adam aaine hain magar tarsoge chehra dekhne ko abhi hain kuchh purani yaadgaren tum aana shahr mera dekhne ko phir us ke baad tha khamosh pani ki log aae the dariya dekhne ko hawa se hi khulta tha aksar mujhe bhi ek daricha dekhne ko qayamat ka hai sannata faza mein nahin koi parinda dekhne ko abhi kuchh phul hain shakhon pe 'azhar' mujhe kanton mein uljha dekhne ko