main sanglakh zaminon ke raaz kahta hun main git ban ke chatanon ke bich gunja hun tulu-e-subh ka manzar ajib hai kitna mera khayal hai main pahli bar jaga hun mera wajud ghanimat hai sochiye to sahi main khushk dal ka patta hara hara sa hun baja ki roz andhera mujhe nigalta hai main roz ek naya khurshid ban ke uthta hun kisi ne baat hi samjhi na haal hi puchha ajib karb ke aalam mein ghar se nikla hun main jaanta hun ki hai irtiqa ki kya surat main aah ban ke utha abr ban ke barsa hun ajib baat hai har samt raste hain rawan ajib baat hai main ghar ki rah bhula hun mujhe talash karenge nai ruton mein log main gahri dhund mein lipta hua jazira hun is ek sawal ne rakkha hai muddaton hairan main kis ka rup hun main 'raaz' kis ki chhaya hun