qurbat-e-husn mein bhi dard ke aasar mile chaara-gar ishq ke marham ke talabgar mile dast-o-pa apne to wabasta-e-zanjir sahi ek tamanna thi koi sahab-o-mukhtar mile han junun-khezi-e-dil rehn-e-masarrat na hui khush hui wahshat-e-gham jab rasan-o-dar mile khak udaen ki nae shahr basaen yaro hum ba-har-rang har ek shauq se bezar mile hum hain is kar-gah-e-shisha-garan mein hairan aaine tab-e-nazara ke talabgar mile shauq-e-be-minnat-e-ehsan-e-digar kya kahiye khud se is shauq mein hum bar-sar-e-paikar mile dasht-e-majnun tha koi tesha-farhad koi ishrat-e-marg sahi hila-e-be-kar mile khwahish-e-marg dar-e-yar-e-tamanna hi sahi sar magar dosh pe hum ko bhi giran-bar mile shab qayamat si guzar jati hai tanhai mein bakht-yawar hai jise dida-e-bedar mile apne ham-sae mein wo hai jise dekha bhi nahin aise ham-sae ki diwar se diwar mile