main sans lete zaif jismon mein rah chuka hun main hadisa hun udas logon mein rah chuka hun qadim naslon ke ghar nahusat ka dewta tha jadid naslon ke zard kamron mein rah chuka hun main nim-murda asir insan ka qahqaha hun main surkh inton ke khuni pinjron mein rah chuka hun main aisa sar hun jo dasht-e-ghurbat mein kat gaya tha main sar-burida shahid lashon mein rah chuka hun main raja gidh hun na dasht-zada na mas-khora main phir bhi basti ke murda-khoron mein rah chuka hun main ism-e-azam ka moajiza hun main nakhuda hun main chand taron mein aur ghaaron mein rah chuka hun yaqin jaano ye mere baalon mein gard dekho main shahr wala tumhaare ganw mein rah chuka hun main yaum-e-ashur tishnagi ka sarab ban kar khalil-zadon ke khali kuzon mein rah chuka hun