tanhai se bachaw ki surat nahin karun mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun su-e-falak hawai safar hai to kya hua dar jaun mahtab ki surat nahin karun aankhen hain ya sharab ke saghar bhare hue pi jaun kya khayal-e-shariat nahin karun qabze mein un ke shahr-e-tilismat hi sahi kho jaun kya khuda ki ibaadat nahin karun jab tai hua ki raushni parwardigar hai pahlu bachaun us ki itaat nahin karun bazm-e-sukhan-taraaz mein nakaam hon to kya chillaun apne fan ki hifazat nahin karun wo aa gaya 'kamal' ki qimat ke aas-pas bik jaun apne sach ki hifazat nahin karun