main sar chhupaun kahan saya-e-nazar ke baghair ki tere shahr mein rahta hun aur ghar ke baghair mujhe wo shiddat-e-ehsas de ki dekh sukun tujhe qarib se aur minnat-e-nazar ke baghair ye shahr zehn se khali numu se aari hai balaen phirti hain yan dast o pa o sar ke baghair nikal gae hain jo baadal barasne wale the ye shahr aab ko tarsega chashm-e-tar ke baghair koi nahin jo pata de dilon ki haalat ka ki sare shahr ke akhbar hain khabar ke baghair main panw tod ke baitha raha kahin na gaya 'salim' manzilen tai ho gain safar ke baghair