tu bhi ab chhod de sath ai gham-e-duniya mera meri basti mein nahin koi shanasa mera shab-e-gham par laga de ye safina mera subh hogi to utar jaega dariya mera mujh ko malum nahin nam hai ab kya mera dhundne wale mujhe chhod de pichha mera main ne dekhi nahin barson se khud apni surat mere aaine se rutha hai sarapa mera tu bhi khwabon mein mili main bhi dhundlakon mein tujhe zindagi dekh kabhi ghaur se chehra mera ghar se nikla hun to ab dur kahin jaane de rok ai gardish-e-ayyam na rasta mera do qadam daud ke aawaz-e-jaras baith gai chal pada main to kahin panw na thahra mera mere daman mein rahi khak-e-gharib-ul-watani rah gaya dekh ke munh daman-e-sahra mera