main shab-e-hijr kya karun tanha yaad mein teri gum rahun tanha hain idhar gardishen zamane ki hai muqabil udhar junun tanha kitne be-nur hain ye hangame main bhare shahr mein bhi hun tanha aadmi ghir gaya masail mein rah gai zist be-sukun tanha wo to is daur ke nahin insan mil gaya hai jinhen sukun tanha ham-safar jab 'niyaz' andhere hain shama ghabra rahi hai kyun tanha