chahat mein aasman ki zamin ka nahin raha kya bad-nasib tha wo kahin ka nahin raha duniya ke inhimak mein din ka nahin raha ghar us ka jis jagah tha wahin ka nahin raha ye aur baat hai ki hamein e'tibar ho warna zamana aaj yaqin ka nahin raha han kah ke apni jaan bachane lage hain log yani ki ab zamana nahin ka nahin raha peshaniyon pe naqsh to sajde ka ban gaya lekin kahin nishan jabin ka nahin raha 'jawed' apne fikr-o-nazar aasman se la pyare zamana khak-nashin ka nahin raha