main shah ka kabhi jo musahib nahin hua sajda bhi koi mujh pe to wajib nahin hua hum us ki bazm mein to bahut der tak rahe lekin wo shakhs hum se mukhatib nahin hua duniya se be-niyaz rahe thik hi kiya duniya ka rang hum pe to ghaalib nahin hua lazim hai ja ke shah se sab log ye kahen jo kuchh yahan hua wo munasib nahin hua in bastiyon pe us ki nawazish bahut hui lekin ye kaam hasb-e-maraatib nahin hua