mujh ko is dasht mein phir laut ke aana nahin hai dil-e-diwana kuchh aisa bhi diwana nahin hai bar bar aata hai us shakhs se milne ka khayal kya karun pas mere koi bahana nahin hai dam sayyaad ne har samt bichha rakkhe hain aur dekho to kahin ek bhi dana nahin hai kashtiyan hum ne bhi sahil pe jala dali hain ab kahin aur yahan se hamein jaana nahin hai chahta hun ki tamannaen hon puri us ki pas mere to magar koi khazana nahin hai