main shajar hun apne sae ka sila leta nahin khosha-chin ho ya musafir shukriya kahta nahin sach hi kahte ho ki jitna wo hai main utna nahin shayad achchha hai ki jaisa wo hai main waisa nahin ek musafir ki tarah hun koi ghar mera nahin dil mein kuchh aazar hain ya shahr hi achchha nahin barish aai dhul gae aankhon ke viran taqche sham thak kar so gai mah-e-tamam aaya nahin tere harf-e-talkh se is dil mein jitne dagh hain rokte har bar hain lekin raha jata nahin rone wale raegan ki ret par mehnat na kar narm rut ka phul hai dil aag mein khilta nahin