kaun khwahish kare ki aur jiye ek bezar zindagi ke liye aur koi nahin hai us ke siwa sukh diye dukh diye usi ne diye aao honton pe lafz rakh len hum ek muddat hui hai baat kiye zakhm ko ras aa gai hai hawa ab masiha ise siye na siye us ke piyale mein zahr hai ki sharab kaise malum ho baghair piye ab thakan dard banti jati hai dil se kuchh kaam bhi to aise liye main ne man ka libas jab pahna mujh ko titli ne apne rang diye