main shakh shakh pe mahka kiran kiran mein raha ki ruh ban ke raha main jis anjuman mein raha asir-e-kashmakash-e-daur-e-pur-mehan mein raha wo aaftab hun jo muddaton gahan mein raha khulus-e-ishq ki mahrumiyan maaz-allah main umr bhar tahi-daman bhare chaman mein raha nigah mahw-e-tamasha labon pe mohar-e-sukut main aaine ki tarah teri anjuman mein raha kisi se ahd-e-mohabbat pe jab bhi ghaur kiya ek irtiash sa pahron mere badan mein raha tere baghair kahin bhi to ji bahal na saka main chain se kabhi ghar mein raha na ban mein raha muhib itna ki wo jalwa barq-e-tur bana latif itna ki phulon ke pairahan mein raha zaban salis bayan dil-nawaz fikr jamil ye ehtimam hamesha mere sukhan mein raha wo doston ke azaem se 'zabt' kya bachta jo dushmanon ki taraf se bhi husn-e-zan mein raha