ek sukun sa dikhta hai aap ke anup mein

ek sukun sa dikhta hai aap ke anup mein
jaise koi baitha ho sardiyon ki dhup mein

ek bar jo mila wo to ho gaya tera
koi jadu tona hai tere rang rup mein

mera bas chale to main chand tum pe war dun
tera haq ye banta hai ba-khuda sarup mein

meri zat mein to ab zat ek hai basi
ja-ba-ja makin hai jism-o-jaan ke lup mein

sab makan jis ke hain aur la-makan hai jo
jis ke sare rup hain rahta hai arup mein

dozakhon ki aag yun dur hum se ho gai
bakhsh di bahisht jo rab ne man ke rup mein

dhundte ho tum 'zafar' kin ke raaz ko abhi
hum ne wo bhi pa liya jo chhupa nirup mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close